bazm-e-imkan mein koi mujh sa nazar-baz nahin

By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
bazm-e-imkan mein koi mujh sa nazar-baz nahin
ye jigar dekh ki is par bhi mujhe naz nahin
zulm kya karti teri chashm-e-fusun-saz nahin
ek achhuti si haya ka mujhe andaz nahin


nazish-e-barbat-e-dil dard hai aawaz nahin
hamil-e-soz nahin tar to wo saz nahin
aaj hasil hai sukun mujh ko junun ke sadqe
ab kisi samt se aati koi aawaz nahin


dawar-e-'ishq ne bakhshi hai wo masruf-nazar
fikr-e-anjam nahin fursat-e-aghaz nahin
ka'ba-e-husn mein yun dil nahin lagta apna
surat-e-naz nahin sirat-e-andaz nahin


'ain masti hai bhala kaun de zahid ko jawab
jam-e-gul-rang to sharminda-e-awaz nahin
hae sayyaad ne aazad kiya to us dam
jab ki bazu mein mere jurat-e-parwaz nahin


ek tabassum ke tasawwur mein fida jaan na kar
itni ta’jil abhi o dil-e-jaan-baz nahin
aap ki raat kyon aankhon mein kati kuchh samjhe
us ki lathi mein kahawat hai ki aawaz nahin


jis mein dushman bhi kare aarzu mar jaane ki
lutf-e-dil-dar se behtar koi e'jaz nahin
'shad' ek husn-e-tarah-dar ki 'ismat ki qasam
'ishq manzur-e-haqiqat hai koi raaz nahin


93202 viewsghazalEnglish