bazm-e-yaran jo sajata hun so KHush rahta hun
By shahnawaz-ahmadOctober 9, 2023
bazm-e-yaran jo sajata hun so khush rahta hun
gham ko aawaz banata hun so khush rahta hun
shab ye tarik se tarik hui jati hai
sham' yaadon ki jalata hun so khush rahta hun
jab kabhi mujh ko satati hai meri tanhai
sath sayon ko bithata hun so khush rahta hun
mere ehsas meri yaad mere khwabon mein
tujh ko apna hi main pata hun so khush rahta hun
khush yun rahna koi aasan to nahin hai lekin
har khushi tujh pe lutata hun so khush rahta hun

25978 viewsghazal • English