bazm-e-‘aza bani hui hai bazm-e-zauq-o-zauq
By rashid-shahjahanpuriJanuary 4, 2024
bazm-e-‘aza bani hui hai bazm-e-zauq-o-zauq
daur-e-nashat mojib-e-dauran-e-sar hai aaj
mauquf hai labon ki tabassum se rasm-o-rah
aah-o-fughan wazifa-e-sham-o-sahar hai aaj
jab tum hamare ho na sake hum nahin rahe
lo dastan-e-mehr-o-wafa mukhtasar hai aaj

58366 viewsghazal • English