bazm mein jo tera zuhur nahin sham-e-raushan ke munh pe nur nahin kitni baaten bana ke laun ek yaad rahti tere huzur nahin khub pahchanta hun tere tain itna bhi to main be-shuur nahin qatl hi kar ki us mein rahat hai lazim us kaam mein marur nahin fikr mat kar hamare jine ka tere nazdik kuchh ye dur nahin phir jiyenge jo tujh sa hai jaan-bakhsh aisa jina hamein zarur nahin aam hai yar ki tajalli 'mir' khas musa wa koh-e-tur nahin