be-hijabana wo kal jab bar-sar-e-mahfil gae

By aamir-ataApril 20, 2024
be-hijabana wo kal jab bar-sar-e-mahfil gae
jitne murjhae the chehre ek dam se khil gae
yar wo nazuk hai itna main ne us ke aane par
farsh phulon ka bichhaya panw phir bhi chhil gae


jaane us aawaz mein kaisi shifa maujud hai
us ne puchha thik ho aur zakhm khud hi sil gae
wo jo apni be-tuki baaton se hi mashhur hai
us ki baaten sunne ko sab shahr ke 'aqil gae


sirf us ke husn ki khairaat lene ke liye
ban ke shahan-e-zamana bhi wahan sail gae
baithe baithe us ne naddi mein duboe panw aur
dekhte hi dekhte donon kinare mil gae


apni manzil pane walon mein wahi kuchh log hain
raund kar apni ana jo jaanib-e-manzil gae
25017 viewsghazalEnglish