be-kasana ji giraftari se shewan mein raha

By meer-taqi-meerNovember 6, 2020
be-kasana ji giraftari se shewan mein raha
ek dil gham-khwar rakhte the so gulshan mein raha
panja-e-gul ki tarah diwangi mein hath ko
gar nikala mein gareban se to daman mein raha


shama san jalte rahe lekin na toda yar se
rishtha-e-ulfat tamami umr gardan mein raha
dar se us shamshir-zan ke jauhar aaina san
sar se le kar panw tak main gharq aahan mein raha


hum na kahte the ki mat dair-o-haram ki rah chal
ab ye dawa hashr tak shaikh-o-barahman mein raha
darpai dil hi rahe us chehre ke khal-e-siyah
dar hamein un chonton ka roz-e-raushan mein raha


aah kis andaz se guzra bayaban se ki 'mir'
ji har ek nakhchir ka us said-e-afgan mein raha
73475 viewsghazalEnglish