be-KHabar duniya ko rahne do KHabar karte ho kyun

By iqbal-sajidOctober 31, 2020
be-khabar duniya ko rahne do khabar karte ho kyun
dosto mere dukhon ko mushtahar karte ho kyun
koi darwaza na kholega sada-e-dard par
bastiyon mein shor-o-ghul sham o sahar karte ho kyun


mujh se ghurbat mol le kar kaun ghar le jaega
tum mujhe ruswa sar-e-bazar-e-zar karte ho kyun
aankh ke andhon ko kyun dikhlate ho parwaz-e-harf
kaghazon pe ab tamasha-e-hunar karte ho kyun


tazkira likhte ho kya meri shikast-o-rekht ka
lafz ki basti mein mani ko khandar karte ho kyun
dosto! binai bakhshegi tumhein un ki udan
panchhiyon ko chhod do be-baal-o-par karte ho kyun


lafz agar bote to phir fasl-e-maani katte
dosto! ab shikwa-e-ahl-e-hunar karte ho kyun
zalimon ke sath mil jao rahoge aish mein
umr 'sajid' kasmapursi mein basar karte ho kyun


27370 viewsghazalEnglish