be-KHayali ki rida dur talak tani hai

By abbas-qamarDecember 16, 2024
be-khayali ki rida dur talak tani hai
ab to ye bhi nahin lagta ki pareshani hai
sard mausam mein bhadak utthi hai tanhai ki aag
jo badha deti hai mushkil wahi aasani hai


aab-e-girya se hai didar ki surat paida
dekhiye ghaur se aankh aankh nahin pani hai
main to ehsas ki taswir bana baitha hun
raunaq-e-bazm-e-tasawwur meri hairani hai


ye jo duniya hai ye duniya ki banai hui hai
aadmi kya hai nazariyat ki shaitani hai
ye ghazal sun ke kahenge ‘qamar-abbas-qamar'
yar 'abbas-qamar' tum ne 'ajab thani hai


81727 viewsghazalEnglish