be-KHudi ki misal hun shayad
By khayal-laddakhiFebruary 27, 2024
be-khudi ki misal hun shayad
saghar-e-khasta-haal hun shayad
shad hun main magar pas-e-parda
dard-o-ranj-o-malal hun shayad
hun qafas mein koi talatum sa
zindagi ki misal hun shayad
ab to bujhe nahin koi mujh ko
ek mushkil sawal hun shayad
itne gham jhel ke bhi zinda hun
ba-khuda la-zawal hun shayad
ras mujh ko khushi nahin aati
zabt-e-azurda-haal hun shayad
mera kitna khayal hai un ko
is liye main 'khayal' hun shayad
saghar-e-khasta-haal hun shayad
shad hun main magar pas-e-parda
dard-o-ranj-o-malal hun shayad
hun qafas mein koi talatum sa
zindagi ki misal hun shayad
ab to bujhe nahin koi mujh ko
ek mushkil sawal hun shayad
itne gham jhel ke bhi zinda hun
ba-khuda la-zawal hun shayad
ras mujh ko khushi nahin aati
zabt-e-azurda-haal hun shayad
mera kitna khayal hai un ko
is liye main 'khayal' hun shayad
54791 viewsghazal • English