be-nafas aur be-sada chehra

By
be-nafas aur be-sada chehra
aisa hi lagta hai mera chehra

mera ek chehra dekha hai tum ne
par nahin dekha dusra chehra

us ki peshani pe likhi thi bhuk
man ne bete ka jab padha chehra

aisa chehra to mujh pe jachta hai
kyon hai be-kaif aap ka chehra

ek diya le ke aaya palkon par
khak sa wo bujha bujha chehra

in ghamon ne to phenka tha tezab
ghazlon ne de diya naya chehra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close