be-niyaz-e-bahaar sa kyun hai dil ko zakhmon se pyar sa kyun hai wo khafa hain ki hum gharibon ko gham pe kuchh ikhtiyar sa kyun hai meri aankhon ke khwab to gham hain wo magar be-qarar sa kyun hai aks us mein tha kis ke chehre ka aaina sangsar sa kyun hai aahaten pas aa ke dur huin hum ko phir intizar sa kyun hai kya koi sandali mahak si udi dil mera pur-khumar sa kyun hai zindagi talkh hai bahut 'anjum' phir bhi zalim se pyar sa kyun hai