be-niyaz-e-gham-e-paiman-e-wafa ho jaana
By ahmad-farazJanuary 1, 2024
be-niyaz-e-gham-e-paiman-e-wafa ho jaana
tum bhi auron ki tarah mujh se juda ho jaana
main bhi palkon pe saja lunga lahu ki bunden
tum bhi pa-basta-e-zanjir-e-hina ho jaana
garche ab qurb ka imkan hai bahut kam phir bhi
kahin mil jaen to taswir-numa ho jaana
sirf manzil ki talab ho to kahan mumkin hai
dusron ke liye khud aabla-pa ho jaana
khalq ki sang-zani meri khataon ka sila
tum to ma'sum ho tum dur zara ho jaana
ab mere waste tiryak hai ilhad ka zahr
tum kisi aur pujari ke khuda ho jaana

93947 viewsghazal • English