be-parda us ka chehra-e-pur-nur to hua kuchh der shoabada sa sar-e-tur to hua achchha kiya ki main ne kiya tark-e-arzu be-sabr dil ko sabr ka maqdur to hua go us mein ab nahin hain ladakpan ki shokhiyan lekin shabab aane se maghrur to hua ab aur iltifat se maqsad hai kya tera bas ai nigah-e-mast ki main chur to hua tum ne agar suna nahin ye aur baat hai afsana mere ishq ka mashhur to hua sunta hun husn mail-e-mehr-o-wafa hai ab ai ikhtiyar-e-ishq wo majbur to hua 'shakir' ko hai nasib se kis baat ka gila duniya-e-shairi mein wo mashhur to hua