be-rawi o zulf-e-yar hai rone se kaam yan daman hai munh pe abr-e-namat subh-o-sham yan aawaza hi jahan mein hamara suna karo anqa ke taur zist hai apni ba-nam yan wasf-e-dahan se us ke na aage qalam chale yani kya hai khame ne khatm kalam yan ghaalib ye hai ki mausam-e-khat wan qarib hai aane laga hai muttasil us ka payam yan mat kha fareb-e-ijz azizan-e-haal ka pinhan kiye hain khak mein yaron ne dam yan koi hua na dast-basar shahr-e-husn mein shayad nahin hai rasm-e-jawab salam yan nakaam rahne hi ka tumhein gham hai aaj 'mir' bahuton ke kaam ho gae hain kul tamam yan