be-rukh hai wo pari dil-e-diwana kya kare ro ro ke aankh bharti hai paimana kya kare dast-o-zaban-o-dida-o-dil deti hain dua karte hain wo yagane ki begana kya kare kahta hi murgh-e-dil se wo haal-e-myan-e-khat sabza jo dam ho to use dana kya kare bebas kiya hai mujh ko sar-e-zulf-e-yar ne zanjir panw mein ho to diwana kya kare jadu hai aankh surma na kyun-kar rahe khamosh sarkash hi zulf kandhe na de shana kya kare dil ko na dagh dijiye bose ki chat par jo bechta na howe wo baiana kya kare