be-ruKHi hai ki taghaful hai saza hai kya hai
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
be-rukhi hai ki taghaful hai saza hai kya hai
mehrban ghair pe kyon itna hua hai kya hai
mere aane se faqat bazm sarasima hai kyon
aaj mahfil mein jo ek shor bapa hai kya hai
jam auqat se zaid nahin deta hai na de
saqiya kuchh bhi na dene pe tula hai kya hai
'ishq se qabl na samjha tha jo ab samjha hun
shaikh sahib ne jo irshad kiya hai kya hai
shauq kahta tha ki sab qaid karega manzar
tab jalwon ki magar la na saka hai kya hai
nam le kar jo sar-e-bazm pukara un ko
har koi chikh utha boliye kya hai kya hai
jang jari hai musalsal mere andar 'ahmar'
'ajizi hai ki tamasha hai ana hai kya hai

56083 viewsghazal • English