be-sabab jo bhi muskuraata hai

By tajuddin-tajMay 28, 2021
be-sabab jo bhi muskuraata hai
dil ke zakhmon ko wo chhupata hai
sari duniya udas lagti hai
jab koi apna ruth jata hai


dil ka rishta ajib rishta hai
ek lamhe mein tut jata hai
jaane kya baat hai hatheli par
nam likh kar mera mitata hai


chandni ruh mein mahakti hai
koi jis waqt yaad aata hai
khwab banta hai jab bhi mustaqbil
mera mazi nazar milata hai


'taj' us se mera talluq kya
mere sar ki qasam jo khata hai
75503 viewsghazalEnglish