be-sada se shahr mein kuchh log tanha rah gae
By aftab-shahNovember 28, 2024
be-sada se shahr mein kuchh log tanha rah gae
aankh se aansu gire aur khwab sare bah gae
be-khabar si raat mein sunsan galiyon ke charagh
ratjagon ki chah mein kya kya dilon par sah gae
dekhne se lag raha hai aap bhi waqif se hain
jin pe nazan the kabhi ye baat hum ko kah gae
kya karen shikwa kisi se zindagi ka hum miyan
sunne wale sunte sunte kab ke zer-e-tah gae
zindagi ki dhup mein saya tha jin ke nam ka
kya hue wo pyar ke minar kaise dhah gae
kya hua jo chaal chalte mit gae hum pit gae
hum payaade the magar maidan mein ban ke shah gae
kis nagar mein shams duba tare bhatke kis taraf
kis jahan mein raat thahri jugnu baadal mah gae

42880 viewsghazal • English