be-sar-o-saman the lekin itna andaza na tha

By ahmad-farazJanuary 1, 2024
be-sar-o-saman the lekin itna andaza na tha
is se pahle shahr ke lutne ka aawaza na tha
zarf-e-dil dekha to aankhen karb se pathra gain
khun rone ki tamanna ka ye khamyaza na tha


aa mere pahlu mein aa ai raunaq-e-bazm-e-khayal
lazzat-e-rukhsar-o-lab ka ab tak andaza na tha
hum ne dekha hai khizan mein bhi teri aamad ke ba'd
kaun sa gul tha ki gulshan mein tar-o-taza na tha


hum qasida-khwan nahin us husn ke lekin 'faraaz'
itna kahte hain rahin-e-surma-o-ghaza na tha
76361 viewsghazalEnglish