be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko

By shahryarNovember 18, 2020
be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko
aawara hain aur dasht ka sauda nahin hum ko
ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai
yaron se agarche koi shikwa nahin hum ko


nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma
kya baat hai jo teri tamanna nahin hum ko
ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko


ya tum bhi mudawa-e-alam kar nahin sakte
ya chaaragaro fikr-e-mudawa nahin hum ko
yun barhami-e-kakul-e-imroz se khush hain
jaise ki khayal-e-rukh-e-farda nahin hum ko


35211 viewsghazalEnglish