be-tab pas shama ke parwana aa gaya kya baat hai ki hosh mein diwana aa gaya saqi ki bargah mein tauba hui qubul khud dhundhta hua mujhe mai-khana aa gaya sajdon ka mere naz uthane ke waste kabe ke samne dar-e-jaanana aa gaya daman ko mere dekh ke hasrat ke hath mein yaad un ko apna lutf-e-karimana aa gaya mujh ko mere sawal pe bakhsha hai do-jahan ab e'tibar-e-tarz-e-faqirana aa gaya thi shaikh-o-barhaman ki mai-o-angbin pe bahas itne mein badh ke 'kaifi'-e-diwana aa gaya