be-tahasha si la-ubaali hansi

By bashir-badrOctober 28, 2020
be-tahasha si la-ubaali hansi
chhin gai hum se wo jiyali hansi
lab khule jism muskurane laga
phul ka khilna tha ki dali hansi


muskurai khuda ki mahwiyyat
ya hamari hi be-khayali hansi
kaun be-dard chhin leta hai
mere phulon ki bholi-bhaali hansi


wo nahin tha wahan to kaun tha phir
sabz patton mein kaise lali hansi
dhup mein khet gungunane lage
jab koi ganw ki jiyali hansi


hans padi sham ki udas faza
is tarah chae ki pyali hansi
main kahin jaun hai taaqub mein
us ki wo jaan lene wali hansi


59639 viewsghazalEnglish