be-talab ek qadam ghar se na bahar jaun warna main phand ke hi sat samundar jaun dastanen hain makanon ki zabanon pe raqam padh sakun main to makanon se bayan kar jaun main munazzim se bhala kaise karun samjhauta dubne wale sitaron se main kyun dar jaun ruh kya aae nazar jism ki diwaron mein in ko dhaun to us aaine ke andar jaun aur do chaar masaib ki kasar baqi hai ye utha laun to main duniya ke safar par jaun zahr hai mere rag-o-pai mein mohabbat shayad apne hi dank se bichchhu ki tarah mar jaun thak ke patthar ki tarah baitha hun raste mein 'zafar' jaane kab uth sakun kya jaaniye kab ghar jaun