be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai

be-zabani bais-e-tashhir-e-ulfat ho gai
zabt ka had se guzarna tha ki shohrat ho gai

muskura kar aap ne tai kar diya ek marhala
ab mujhe kuchh aap se kahne ki jurat ho gai

lut gae go hum mohabbat mein magar ye to hua
pyar karna har kisi se apni aadat ho gai

sochta hun wo na ab dil se utar jae kahin
is qadar tanhaiyon se dil ko raghbat ho gai

'bazm' is dil ka bura ho chhin gae sab ikhtiyar
bandagi bechaargi ab apni qismat ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close