bekasi mein jo yaad ghar aaya

By hassaan-arfiOctober 31, 2020
bekasi mein jo yaad ghar aaya
aankh ke sath dil bhi bhar aaya
meri manzil na tera ghar aaya
mere hisse mein bas safar aaya


ek pari-wash khayal par aaya
ek saya sa mujh mein dar aaya
main ne baiat se kar diya inkar
ab ke neze pe mera sar aaya


zindagi jab zawal par aai
fan mera tab uruj par aaya
khun-e-dil se idhar ghazal likkhi
naqsh tera udhar ubhar aaya


shish-mahlon ke bhi muqaddar mein
aakhirash dekhiye khandar aaya
khud-kalami masih-e-jaan bani
koi monis na chaaragar aaya


ek bas dil hi tha mera apna
jo tere raste mein dhar aaya
kab mila mujh ko sang-e-mil tera
main har ek rah se guzar aaya


dar tha ummid ka khula 'hassan'
subh ka bhula sham ghar aaya
55208 viewsghazalEnglish