bewafa gar sanam nahin hota

By rehana-nawabMay 5, 2021
bewafa gar sanam nahin hota
tark-e-ulfat ka gham nahin hota
tum na hanste jo mere rone par
dil-shikan itna gham nahin hota


raste bante katte jate hain
fasla hai ki kam nahin hota
bhul jate mujhe jahan wale
zikr gar dam-ba-dam nahin hota


apne kirdar ki karamat hai
yun koi mohtaram nahin hota
sath-bini se hat ke dekho to
dil samundar se kam nahin hota


46831 viewsghazalEnglish