bhaDakti aag ubalta dhuan banane ka

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
bhadakti aag ubalta dhuan banane ka
muqabla hai ye aatish-fishan banane ka
zamin ki shakl hi tu ne bigad kar rakh di
junun chhod ise aasman banane ka


judai tai hai to kyon talte raha jae
ye ikhtitam hai ab darmiyan banane ka
hawa se dhup se sab se shikayaten hain hamein
magar saliqa na aaya makan banane ka


53874 viewsghazalEnglish