bhadka rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum khamosh kya rahenge zamane ke dar se hum kuchh aur badh gae jo andhere to kya hua mayus to nahin hain tulu-e-sahar se hum le de ke apne pas faqat ek nazar to hai kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum mana ki is zamin ko na gulzar kar sake kuchh khar kam to kar gae guzre jidhar se hum