bhadkaen meri pyas ko aksar teri aankhen sahra mera chehra hai samundar teri aankhen phir kaun bhala dad-e-tabassum unhen dega roengi bahut mujh se bichhad kar teri aankhen khali jo hui sham-e-ghariban ki hatheli kya kya na lutati rahin gauhar teri aankhen bojhal nazar aati hain ba-zahir mujhe lekin khulti hain bahut dil mein utar kar teri aankhen ab tak meri yaadon se mitae nahin mitta bhigi hui ek sham ka manzar teri aankhen mumkin ho to ek taza ghazal aur bhi kah lun phir odh na len khwab ki chadar teri aankhen main sang-sifat ek hi raste mein khada hun shayad mujhe dekhengi palat kar teri aankhen yun dekhte rahna use achchha nahin 'mohsin' wo kanch ka paikar hai to patthar teri aankhen