bhadki hui hai sham-e-shabistan-e-zindagi shoala na chum le kahin daman-e-zindagi marne ke baad phulon se turbat nawaz di hota hai kaun zist mein pursan-e-zindagi aish-o-khushi nashat-o-tarab rahat-o-sukun hain in se badh ke kaun harifan-e-zindagi bar-e-alam uthane ke qabil bana diya kya kam hua hai mujh pe ye ehsan-e-zindagi aaghaz-e-bab-e-nau hai meri maut ai 'amin' tabdil kar raha hun main unwan-e-zindagi