bhage achchhi shaklon wale ishq hai goya kaam bura apni haalat kya mein bataun bad achchha badnam bura gesu-o-rukh ko jab se chaha tab se mera rang ye hai sham achchha to subh bura aur subh achchha to sham bura qadar ho kya khak us ke ghar mein aandhi ke si aam hain dil aashiq tute padte hain har roz ka izn-e-am bura bandh ke halqe gherenge ab mere dil ki khair nahin ghunghar wale gesu us ke bandh rahe hain lam bura sar pe amama hath mein subha 'shauq' na ja but-khane ko but hain bade kafir rakh denge sar ilzam bura