bhala dil ki tabahi par koi nashad hota hai
By ishrat--jalandhariMay 6, 2022
bhala dil ki tabahi par koi nashad hota hai
are ye ghar to aksar tut kar aabaad hota hai
jise kuchh log kahte hain sukun-e-zindagi yaro
khuda malum wo jauhar kidhar ijad hota hai
wo yun khamosh baithe hain wo yun khamosh baithe hain
ki bas irshad hota hai ki bas irshad hota hai
chaman mein ho rahi hain mukhtalif sargoshiyan kal se
khuda malum kis ka aashiyan barbaad hota hai
agar mahfil salamat hai to 'ishrat' hum bhi dekhenge
hamare baad kaun aamada-e-fariyaad hota hai

26197 viewsghazal • English