bhala ho pir-e-mughan ka idhar nigah mile faqir hain koi chullu khuda ki rah mile kahan the raat ko hum se zara nigah mile talash mein ho ki jhuta koi gawah mile qarib-e-mai-kada mujh ko jo khanqah mile gale sawab ke kya kya mere gunah mile wo roz-e-hashr hai duniya nahin ki rah mile kahan chhupoge jo do chaar dad-khwah mile meri kharabi mein aa kar wo chaukdi bhule ki phir na khana-kharabi ko ghar ki rah mile tera dil aae kisi par to arsh hil jae asar talash mein hai is tarah ki aah mile tumhaare kuche mein har roz wo qayamat hai ki saya dhund raha hai kahin panah mile tera ghurur samaya hai is qadar dil mein nigah bhi na milaun jo baadshah mile sar-barahna majnun pe aashiyan hai taj na rakkhe sar pe jo faghfur ki kulah mile falak ki tarah jafaen na kijiye har roz isi qadar hai ye neamat jo gah gah mile tumhaare husn se kya rutba mah-e-kanan ko wahi to chand jise dubne ko chah mile sab ahl-e-hashr jab apne kiye ko paenge bada maza ho jo mujh ko mera gunah mile karun main arz agar jaan ki aman paun kahun pate ki agar qahr se panah mile ye hai maze ki ladai ye hai maze ka milap ki tujh se aankh ladi aur phir nigah mile hua hai dard-e-jigar se ye ghar mera tarik ki maut dhundti phirti hai koi rah mile na us ko sabr na tasir ka pata ya rab jala diya hai mujhe khak mein ye aah mile bala se dawa-e-ulfat na pesh karte hum mile hue hain jo dushman se wo gawah mile thahar na aah meri jaan le ke chalte ho safar kare jo musafir ko zad-e-rah mile masal suni hai ki milne se koi milta hai milo to aankh mile dil mile nigah mile qamar ko jama-e-shab to basar ko parda-e-chashm kai libas tere nur ko siyah mile asar kahan se mile jab ye phut ho baham alag alag rahe donon na harf-e-ah mile laga ke panw mein us ke udaun qasid ko agar mujhe tere tausan ki gard-e-rah mile is inqalab mein dhundo jo mushk aur kafur to ye safed mile aur wo siyah mile nawed-e-bakhshish-e-isyan use suna dena jo sharmsar kahin 'dagh'-e-ru-siyah mile