bhala kyon faisla wo bhi usi dauran le baitha samajh mein ab use aaya ki kya nuqsan le baitha use lagta tha kuchh bhi wo kisi ke sath kar dega magar kitna bada wo shakhs hai nuqsan le baitha agar himmat tumhein hai to akhade mein lado ja kar kisi lachaar ko to mar apni shan le baitha agar patthar tera dil hai to sun le ghaur se phir tu samajh le mard kahlane ki tu pahchan le baitha bahut mushkil se milti hai adab ki zindagi lekin sukhan-war kyon ise itna hai phir aasan le baitha