bhar jaenge jab zakhm to aaunga dobara main haar gaya jang magar dil nahin haara raushan hai meri umr ke tarik chaman mein is kunj-e-mulaqat mein jo waqt guzara apne liye tajwiz ki shamshir-e-barhana aur us ke liye shakh se ek phul utara kuchh sikh lo lafzon ko baratne ka saliqa is shughl mein guzra hai bahut waqt hamara lab khole pari-zad ne aahista se 'sarwat' jon guftugu karta hai sitare se sitara