bhari aankhon se gar usko takun aamin kah dena
By ruchi-daroliaFebruary 23, 2021
bhari aankhon se gar us ko takun aamin kah dena
barae bebasi gar chup rahun aamin kah dena
khuda har faisla tera mujhe manzur hai lekin
agar mahw-e-dua wo nam lun aamin kah dena
sambhalne ki koi surat mohabbat mein nahin hoti
lihaza ladkhada kar jab girun aamin kah dena
usi ek nam par sari khudai aa ke thahri hai
jab us ke sath nam apna likhun aamin kah dena
zamana iltija hai hath jab us ke uthe dekho
rahun main tab talak ya na rahun aamin kah dena
masarrat muntazir rahti ho us ke khair-maqdam ko
zara sa khwab hai bas jyun ke tyun aamin kah dena
wazifa jab padhun main us ke haq mein ai khuda tu bhi
na rakhna shart koi jab kahun aamin kah dena

72324 viewsghazal • English