bhari mahfil mein tanha dekhna hai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
bhari mahfil mein tanha dekhna hai
use is bar itna dekhna hai
teri duniya se ab jaana padega
khuda wali bhi duniya dekhna hai


adakaron ke nakhre log uthaen
hamein to bas tamasha dekhna hai
meri pahli nazar lauta de mujh ko
teri jaanib dubara dekhna hai


naya kya hai makan se la-makan tak
wahi khud ko dikhana dekhna hai
meri dilchaspiyan parwaz mein hain
use pinjre mein chidiya dekhna hai


kahan par kyon bhatak jata hun aakhir
tere kuche ka naqsha dekhna hai
nahin milna hai kuchh nazren utha kar
hamein to sirf rasta dekhna hai


89770 viewsghazalEnglish