bhatakta hun magar khoya nahin hun banai rah pe chalta nahin hun mujhe rangne ki koshish mat karo tum main mazi ka koi panna nahin hun mujhe hi log kho dete hain aksar kisi ko main kabhi khota nahin hun main shamil hun faqiron ki khushi mein main sikka hun magar khota nahin hun naha leta hun ja kar mai-kade mein lahu se hath main dhota nahin hun ghazal ke ganw mein sab hain munafiq kisi ke ghar main ab jata nahin hun bichha kar jism ki chadar wo bola samajhte ho jo tum waisa nahin hun meri qimat gira sakte nahin tum main insan hun koi rupya nahin hun