bhatakta karwan hai aur main hun talash-e-raegan hai aur main hun bataun kya tumhein hasil safar ka adhuri dastan hai aur main hun naya kuchh bhi nahin qisse mein mere wahi bojhal saman hai aur main hun har ek jaanib tilismati manazir nazar ka imtihan hai aur main hun koi shahid nahin sajdon ka mere jabin par ek nishan hai aur main hun shikasta baal-o-par takte hain mujh ko fasil-e-asman hai aur main hun dua mangun kahan kis dar pe ja ke dayar-e-be-aman hai aur main hun bahut dhundli nazar aati hai duniya umidon ka dhuan hai aur main hun bhatakta hun zamin par sar-barahna falak ka saeban hai aur main hun