bhawen tanti hain khanjar hath mein hai tan ke baithe hain kisi se aaj bigdi hai ki wo yun ban ke baithe hain dilon par saikdon sikke tere joban ke baithe hain kalejon par hazaron tir is chitwan ke baithe hain ilahi kyun nahin uthti qayamat majra kya hai hamare samne pahlu mein wo dushman ke baithe hain ye gustakhi ye chhed achchhi nahin hai ai dil-e-nadan abhi phir ruth jaenge abhi to man ke baithe hain asar hai jazb-e-ulfat mein to khinch kar aa hi jaenge hamein parwa nahin hum se agar wo tan ke baithe hain subuk ho jaenge gar jaenge wo bazm-e-dushman mein ki jab tak ghar mein baithe hain wo lakhon man ke baithe hain fusun hai ya dua hai ya muamma khul nahin sakta wo kuchh padhte hue aage mere madfan ke baithe hain bahut roya hun main jab se ye main ne khwab dekha hai ki aap aansu bahate samne dushman ke baithe hain khade hon zer-e-tuba wo na dam lene ko dam bhar bhi jo hasrat-mand tere saya-e-daman ke baithe hain talash-e-manzil-e-maqsad ki gardish uth nahin sakti kamar khole hue raste mein hum rahzan ke baithe hain ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat mein roya hun dar o diwar ek pal mein mere madfan ke baithe hain nigah-e-shokh o chashm-e-shauq mein dar-parda chhanti hai ki wo chilman mein hain nazdik hum chilman ke baithe hain ye uthna baithna mahfil mein un ka rang laega qayamat ban ke utthenge bhabuka ban ke baithe hain kisi ki shamat aaegi kisi ki jaan jaegi kisi ki tak mein wo baam par ban-than ke baithe hain qasam de kar unhen ye puchh lo tum rang-dhang us ke tumhaari bazm mein kuchh dost bhi dushman ke baithe hain koi chhinta pade to 'dagh' kalkatte chale jaen azimabaad mein hum muntazir sawan ke baithe hain