bhik didar ki de do mujhe data ban kar

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
bhik didar ki de do mujhe data ban kar
dhundhti rahti hain aankhen tumhein kasa ban kar
mujh ko rahna tha teri aankh mein aansu ki tarah
main to nakaam hun ai dost sitara ban kar


ek lamha jo mohabbat ka mila tha mujh ko
chha gaya zehn pe mere wo zamana ban kar
kaise ehsan utarunga main us jugnu ka
jo andheron mein raha sath ujala ban kar


tazkira chahe kisi ka ho chamak aati nahin
rah gai zindagi bimar ka chehra ban kar
14511 viewsghazalEnglish