bhul kar tu sare gham apne chaman mein raqs kar jag ai darwesh-e-jaan mere badan mein raqs kar dal kar chadar wafa ki tu mazar-e-ishq par dar-e-mansuri pe aa is pairahan mein raqs kar tu gareban-chaak jo nikla hai gham ki bhid mein ja chala ja chhod sab tu us ke man mein raqs kar bargah-e-husn mein jhuk kar salami pesh kar bandh kar ghungru gulon ke bankpan mein raqs kar kis liye jalne nahin deti charaghon ko mere ai hawa tu ja kahin koh-o-daman mein raqs kar ye rumuz-e-marifat tujh par ayan honge tabhi pi tariqat ka subu aur is agan mein raqs kar