bhula chuka hai zamana mere fasane ko

By sabeensaifFebruary 28, 2024
bhula chuka hai zamana mere fasane ko
main ro rahi hun magar ab bhi us zamane ko
wo mujh se wa'da-e-farda meri qasam le kar
hai yaad aa gaya phir se mujhe rulane ko


yaqin jaan ki aankhon se khun bahne lage
main baith jaun agar haal-e-dil sunane ko
zamane-bhar ke dukhon ko laga liya hai gale
ab ek pal nahin milta hai muskurane ko


wo git jis ko mohabbat salam karti hai
main harf bunti rahi aisa git gane ko
wo ek jahan ki jise har jahan 'aziz raha
janam janam se main takti thi us zamane ko


hamare hath se tahzib ke guhar bhi gae
hamare pas hai ab aur kya bachane ko
hamare 'ahd mein lahjon ka khun hota hai
ki zakhm dete hain hum to nae zamane ko


tumhin ye kahte ho tanha hun main akeli hun
tumhaare waste chhoda hai ek zamane ko
'sabin' zat ke gham se kabhi nahin nikli
wo phir bhi jiti hai duniya ke gham uthane ko


24617 viewsghazalEnglish