bhulne wale se koi kah de zara is tarah yaad aane se kya faeda jab mere dil ki duniya basate nahin phir khayalon mein aane se kya faeda chaar tinke jalane se kya mil gaya mit saka na zamane se mera nishan mujh pe bijli girao to jaanen sahi aashiyan par girane se kya faeda kya kahun aap se kitni ummid thi aap kya badle duniya badal si gai aasra de ke dil todte hain mera is tarah se satane se kya faeda tum ne musa ko nahaq hi taklif di lutf aata agar yaad karte hamein jin ki aankhon mein tab-e-nazara na ho un ko jalwa dikhane se kya faeda pahle dil ko burai se kar pak tu phir khulus-e-aqidat se kar justuju aise sajdon se allah milta nahin har jagah sar jhukane se kya faeda lakh samjhaya tujh ko magar ai 'shamim' teri hushyari aakhir na kaam aa saki aankh milti gai raaz khulte gae ab haqiqat chhupane se kya faeda