bichhad gaya hun mera karwan nahin milta kahin kisi ke qadam ka nishan nahin milta khala mein dal diya shauq-e-irtiqa ne mujhe zamin bhi chhut gai aasman nahin milta hazaron raaz chhupae hon apne sine mein kise sunaun koi raazdan nahin milta na jaane kaun chura le gaya khuda jaane bahut dinon se dil-e-na-tawan nahin milta tumhaare shahr mein rahne ke waste hum ko lahad to milti hai lekin makan nahin milta khada hai dhup mein ek ajnabi udas udas haweliyan hain bahut saeban nahin milta hamare daur ke qatil hain kitne shoabda-gar ab aastin pe lahu ka nishan nahin milta ajib haal hai hum shairan-e-urdu ka zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta wahan pe umr guzari hai hum ne ai 'rizwan' ki sans lene ka haq bhi jahan nahin milta