bichhaD kar dur jaana paD gaya nan

By tajwer-shakeelMarch 1, 2024
bichhad kar dur jaana pad gaya nan
tumhein mujh ko bhulana pad gaya nan
mujhi se tum chhupate the sabhi kuchh
mujhi ko gham sunana pad gaya nan


mujhe smog achchha lag raha hai
ki us ko pas aana pad gaya nan
kahani mein pari marne lagi hai
naya kirdar lana pad gaya nan


sanwar ke kya karun main jab kisi ko
mere khwabon mein aana pad gaya nan
bachaya tha magar aakhir kahan tak
mujhe ye dil lagana pad gaya nan


main kitni thi akeli chhod do jab
mujhe khud se batana pad gaya nan
kaha bhi tha bichhad jaana khushi se
naya ek shakhsana pad gaya nan


sukhan par 'tajwar' jo nukta-chin the
unhen bhi muskurana pad gaya nan
26240 viewsghazalEnglish