bichhaD kar hum usi ke haq mein achchha kar rahe the

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
bichhad kar hum usi ke haq mein achchha kar rahe the
magar us ko ye lagta tha ki dhoka kar rahe the
zara sa fasla bhi ek musibat ho gaya tha
ki hum har mod par aaram itna kar rahe the


mohabbat ko abhi rone ka waqt aaya nahin tha
abhi hum dusri baaton pe jhagda kar rahe the
khuda jaane ye neki thi ki khud-gharzi hamari
badal apna 'ibaadat mein muhayya kar rahe the


jahan walon ko tum apni safai mein na lana
jahan wale to mujh par bhi bharosa kar rahe the
badi sanjidgi ke sath station pe utre
wahi ladke jo raste bhar tamasha kar rahe the


jahan par hukmrani sirf tere dard ki thi
wahan ab dusre gham bhi 'ilaqa kar rahe the
kai bimar itne be-takalluf the ki 'shaariq'
hamein bhi sath chalne ka ishaara kar rahe the


18199 viewsghazalEnglish