bichhaD kar tujhse ai jaan-e-jigar achchha nahin lagta

By tariq-islam-kukraviMarch 1, 2024
bichhad kar tujh se ai jaan-e-jigar achchha nahin lagta
ye tanha zindagi ka ab safar achchha nahin lagta
qasam allah ki sach hai bina tere tasawwur ke
ye she'r-o-sha'iri ka ab hunar achchha nahin lagta


bada bechain hai ye dil badi betab hain sansen
kahan ho tum chale aao idhar achchha nahin lagta
ye teri hi mohabbat ka sanam nayab jadu hai
ki apni hi gali apna hi ghar achchha nahin lagta


ye mano ya na mano baat sach hai har tarah meri
na ho gar ham-safar to phir safar achchha nahin hota
samar aaen na patte phul hi jis mein kabhi aaen
kisi bhi waqt yaro wo shajar achchha nahin lagta


bade tum khoe khoe ho udasi dil pe chhai hai
koi kahiye ghazal 'tariq' agar achchha nahin lagta
54696 viewsghazalEnglish