bichhaD ke ishq mein jina muhaal hai ki nahin

By tariq-islam-kukraviMarch 1, 2024
bichhad ke 'ishq mein jina muhaal hai ki nahin
ki hum ne ji ke dikhaya kamal hai ki nahin
use jo dekhe nazar-bhar usi ka ho jae
ghazab ka dekhiye husn-o-jamal hai ki nahin


wo misl-e-hukm hi samjha hai khwahish-e-jaanan
ye khwahishon ka hamari visal hai ki nahin
zara si baat ko itna badha diya tu ne
ki aabru ka tujhe kuchh khayal hai ki nahin


udas chehre ko padhte hain jab jahan wale
ye puchhte hain sabhi bol-chaal hai ki nahin
kamao shauq se rozi kahin pe tum lekin
khayal rakhna hai lazim halal hai ki nahin


84167 viewsghazalEnglish