bichhad ke tujh se mujhe dukh to hai malal to hai magar ye pyar nibhana bhi ek kamal to hai karam sahi na sahi ab tere sitam hi sahi yahi bahut hai ki tujh ko mera khayal to hai main is khayal se shohrat se dur rahta hun uruj kitna bhi ho ek din zawal to hai main bujh gaya hun zamane ki aandhiyon se magar mera wajud sulagta hua sawal to hai na chah kar bhi mera zikr karte rahte hain mukhalifon mein ye khubi to hai kamal to hai main mutmain hun buzurgon se rabta rakh kar juda hua mere mazi se mera haal to hai zaif bap ka saya bhi kam nahin 'ejaz' mahaz-e-zist mein ye nam ek dhaal to hai